Kabhi yun hi…
Baithe baithe..
Ek kagaj par..
Kuchh berang chitr banaye the..
Aur rakh diya tha use
Kahin kisi kitab ke andar..
Aj mahino bad..
Dhul jhaadi thi..
Us kitab ki..
Aur yun hi..
Khole the uske panne..
Wohi kagaj gira tha niche..
Uthaya to dekha..
Un chitro ne bhi..
Mahino gujaar liye hain..
Jo poudha banaya tha..
Us par naye phul aa gaye hain..
Aur kuchh naye patte bhi..
Jo baadal banaye the..
Baras kar chale gaye hain
Wo bhi kahin..
Samay badal gaya hai..
Ye yakin hua..aj..
Par kuchh na badla..
To..wo hai rang..
Jindagi ab bhi..
Berang hai..
In chitro ki tarah..